suraj ke sath dub ke ghamnak ho gae
sūraj ke saath duub ke ġhamnāk ho ga.e
shab-zād lamhe din se bhī saffāk ho ga.e
pattoñ ko zard kar ga.ī patjhaḌ kī ek mauj
ġhunche shajar se Tuut ke ḳhāshāk ho ga.e
rahte haiñ duur duur shikārī ke jaal se
jangal ke ab parind bhī chālāk ho ga.e
nashtar sā kaam kar ga.iiñ phūloñ kī pattiyāñ
nannhī sī titliyoñ ke bhī par chaak ho ga.e
jin ko samundaroñ ke bhañvar se lagāo thā
maujoñ se khel khel ke tairāk ho ga.e
kho aa.e kis anā meñ vo apnī tajalliyāñ
ā.īne sang kyā hue bas ḳhaak ho ga.e
kartī rahī haiñ āñdhiyāñ jin ke charāg gul
jugnū vo shab ke aur bhī bebāk ho ga.e
kyā phir idhar se zard havā kā guzar huā
ḳhushbū ke silsiloñ se chaman paak ho ga.e
kirdār be-kashish hai numā.ish kī dhuup meñ
'arshad' nazar meñ qīmtī poshāk ho ga.e
suraj ke sath dub ke ghamnak ho gae
shab-zad lamhe din se bhi saffak ho gae
patton ko zard kar gai patjhaD ki ek mauj
ghunche shajar se Tut ke KHashak ho gae
rahte hain dur dur shikari ke jal se
jangal ke ab parind bhi chaalak ho gae
nashtar sa kaam kar gain phulon ki pattiyan
nannhi si titliyon ke bhi par chaak ho gae
jin ko samundaron ke bhanwar se lagao tha
maujon se khel khel ke tairak ho gae
kho aae kis ana mein wo apni tajalliyan
aaine sang kya hue bas KHak ho gae
karti rahi hain aandhiyan jin ke charag gul
jugnu wo shab ke aur bhi bebak ho gae
kya phir idhar se zard hawa ka guzar hua
KHushbu ke silsilon se chaman pak ho gae
kirdar be-kashish hai numaish ki dhup mein
'arshad' nazar mein qimti poshak ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.