suraj ki raushni mein bikhre hue the sare
sūraj kī raushnī meñ bikhre hue the saare
jo raat kī siyāhī meñ saath the hamāre
aao farozāñ kar deñ aañsū ke kuchh sharāre
kuchh aur āsmāñ par ham Taañk deñ sitāre
milne kā vā'da kar ke phir chāñd kyoñ na aayā
naddī thī raah taktī gin gin ke raat taare
karvaT badalte dukh kī vahshat-zada ḳhamoshī
kamre kī khiḌkiyoñ se phir daf'atan pukāre
tāroñ ke ḳhvāb saare sajte haiñ shaam hī se
derīna ḳhvāhishoñ se nikhre haiñ māh-pāre
vīrān sī galī meñ thiiñ raunaqeñ hazāroñ
jo ḳhvāb raat dekhe vo saath the hamāre
chāhā thā ham ne bāñhoñ meñ le leñ chāñd hī ko
tāroñ kī anjuman ko bin farsh par utāre
kis gaam jā ke barseñ kis chhat pe bhiig jaa.eñ
ghar DhūñDte nagar meñ āvāra abr-pāre
suraj ki raushni mein bikhre hue the sare
jo raat ki siyahi mein sath the hamare
aao farozan kar den aansu ke kuchh sharare
kuchh aur aasman par hum Tank den sitare
milne ka wa'da kar ke phir chand kyon na aaya
naddi thi rah takti gin gin ke raat tare
karwaT badalte dukh ki wahshat-zada KHamoshi
kamre ki khiDkiyon se phir daf'atan pukare
taron ke KHwab sare sajte hain sham hi se
derina KHwahishon se nikhre hain mah-pare
viran si gali mein thin raunaqen hazaron
jo KHwab raat dekhe wo sath the hamare
chaha tha hum ne banhon mein le len chand hi ko
taron ki anjuman ko bin farsh par utare
kis gam ja ke barsen kis chhat pe bhig jaen
ghar DhunDte nagar mein aawara abr-pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.