suraj ki tarah apne hi mehwar mein qaid hun
sūraj kī tarah apne hī mehvar meñ qaid huuñ
sadiyoñ se raushnī ke samundar meñ qaid huuñ
sar se guzartī jaatī haiñ lamhoñ kī āñdhiyāñ
maiñ huuñ ki māh-o-sāl ke chakkar meñ qaid huuñ
kyā kyā na sochtā huuñ maiñ fardā ke baab meñ
hālāñki jāntā huuñ muqaddar meñ qaid huuñ
chāhūñ to kā.enāt ke ḳhirman ko phūñk duuñ
tum kyā samajh rahe ho ki patthar meñ qaid huuñ
shāyad mirā vajūd thā ik hissa-e-zamīñ
maiñ ḳhaak ho ke bhī isī chakkar meñ qaid huuñ
'tāhir' maiñ ik jazīre kī mānind aaj bhī
tishna-dahan huuñ go ki samundar meñ qaid huuñ
suraj ki tarah apne hi mehwar mein qaid hun
sadiyon se raushni ke samundar mein qaid hun
sar se guzarti jati hain lamhon ki aandhiyan
main hun ki mah-o-sal ke chakkar mein qaid hun
kya kya na sochta hun main farda ke bab mein
haalanki jaanta hun muqaddar mein qaid hun
chahun to kaenat ke KHirman ko phunk dun
tum kya samajh rahe ho ki patthar mein qaid hun
shayad mera wajud tha ek hissa-e-zamin
main KHak ho ke bhi isi chakkar mein qaid hun
'tahir' main ek jazire ki manind aaj bhi
tishna-dahan hun go ki samundar mein qaid hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.