suraj ki tez dhup ka imkan talash kar
sūraj kī tez dhuup kā imkāñ talāsh kar
jaltī zamīñ pe ziist kā sāmāñ talāsh kar
shāyad ki terī ruuh ko ārām mil sake
ābādiyoñ ko chhoḌ bayābāñ talāsh kar
ye kah ki us ne dhuup meñ dam toḌ hī diyā
lāshoñ ke is hujūm meñ insāñ talāsh kar
merī tarah zamāne meñ kuchh aur bhī to haiñ
un ko bhī ai kashākash-e-daurāñ talāsh kar
ehsās kī javān ḳharāshoñ ko bhuul kar
bechain apnī ruuh kā darmāñ talāsh kar
ḳhud pahle aa.ine ke muqābil khaḌā to ho
phir baad meñ tū auroñ ke isyāñ talāsh kar
chuTkī se noch Daal ye peshāniyoñ ke phuul
jhūTe namāziyoñ meñ musalmāñ talāsh kar
suraj ki tez dhup ka imkan talash kar
jalti zamin pe zist ka saman talash kar
shayad ki teri ruh ko aaram mil sake
aabaadiyon ko chhoD bayaban talash kar
ye kah ki us ne dhup mein dam toD hi diya
lashon ke is hujum mein insan talash kar
meri tarah zamane mein kuchh aur bhi to hain
un ko bhi ai kashakash-e-dauran talash kar
ehsas ki jawan KHarashon ko bhul kar
bechain apni ruh ka darman talash kar
KHud pahle aaine ke muqabil khaDa to ho
phir baad mein tu auron ke isyan talash kar
chuTki se noch Dal ye peshaniyon ke phul
jhuTe namaziyon mein musalman talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.