suraj ko ehsas dilaya ja sakta hai
sūraj ko ehsās dilāyā jā saktā hai
jugnū se bhī kaam chalāyā jā saktā hai
tum bas ik din un kā tabassum chakh kar dekho
un hoñToñ se shahd banāyā jā saktā hai
us ke hijr kī sālgirah hai aane vaalī
ab vahshat kā jashn manāyā jā saktā hai
dost sabhī apne jo muḳhālif ho jaa.eñ to
dushman se bhī haath milāyā jā saktā hai
us kā badan ḳhushbū kā thā to naam pe us ke
sandal kā ik peḌ lagāyā jā saktā hai
dil kahtā hai dekh ke un kā husn-e-mujassam
un pe 'mīr' kā sher sunāyā jā saktā hai
chāhat meñ aisā hotā rahtā hai aksar
rūThā hai 'dilbar' to manāyā jā saktā hai
suraj ko ehsas dilaya ja sakta hai
jugnu se bhi kaam chalaya ja sakta hai
tum bas ek din un ka tabassum chakh kar dekho
un honTon se shahd banaya ja sakta hai
us ke hijr ki salgirah hai aane wali
ab wahshat ka jashn manaya ja sakta hai
dost sabhi apne jo muKHalif ho jaen to
dushman se bhi hath milaya ja sakta hai
us ka badan KHushbu ka tha to nam pe us ke
sandal ka ek peD lagaya ja sakta hai
dil kahta hai dekh ke un ka husn-e-mujassam
un pe 'mir' ka sher sunaya ja sakta hai
chahat mein aisa hota rahta hai aksar
ruTha hai 'dilbar' to manaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.