suraj saron pe aag ugalta dikhai de
sūraj saroñ pe aag ugaltā dikhā.ī de
mujh ko ye shahr aaj pighaltā dikhā.ī de
vo sāmne rakhā hai koī ḳhat khulā huā
vo duur koī chāñd nikaltā dikhā.ī de
kis ke qarīb jā.iye kis ko pukāriye
har shaḳhs apnā ruup badaltā dikhā.ī de
maiñ is nadī ko paar to kar jā.ūñgā magar
aage koī charāġh to jaltā dikhā.ī de
ye reg-zār-e-ġham ye ḳhayāloñ kī tez dhuup
jo zad meñ aa gayā vo pighaltā dikhā.ī de
ghar ho ki rāsta ho ik aaseb har jagah
tanhā.iyoñ kā zahr ugaltā dikhā.ī de
āvāz de ki raat ke ūñche pahāḌ se
ḳhvāboñ kā paañv aaj phisaltā dikhā.ī de
'jāmī' mirī nazar meñ zamāna hai is tarah
phūloñ ko jaise koī masaltā dikhā.ī de
suraj saron pe aag ugalta dikhai de
mujh ko ye shahr aaj pighalta dikhai de
wo samne rakha hai koi KHat khula hua
wo dur koi chand nikalta dikhai de
kis ke qarib jaiye kis ko pukariye
har shaKHs apna rup badalta dikhai de
main is nadi ko par to kar jaunga magar
aage koi charagh to jalta dikhai de
ye reg-zar-e-gham ye KHayalon ki tez dhup
jo zad mein aa gaya wo pighalta dikhai de
ghar ho ki rasta ho ek aaseb har jagah
tanhaiyon ka zahr ugalta dikhai de
aawaz de ki raat ke unche pahaD se
KHwabon ka panw aaj phisalta dikhai de
'jami' meri nazar mein zamana hai is tarah
phulon ko jaise koi masalta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.