suraj se ras bhanwar se tu sahil kashid kar
sūraj se ras bhañvar se tū sāhil kashīd kar
sahrā ke zarre zarre se mahmil kashīd kar
in rā.egāñiyoñ se kinārā na kar qubūl
lā-hāsilī ke karb se hāsil kashīd kar
bhar tū sitāra-vār uḌāneñ falak ke paar
aur lā-makāñ se phir koī manzil kashīd kar
jazboñ kī hiddatoñ se tū barfāb khīñch le
mīnā-e-ishq se tū mirā dil kashīd kar
tasḳhīr kar fishār-e-rag-e-āftāb ko
qaus-e-quzah se phir had-e-fāsil kashīd kar
imkān se tahayyur o shīshe se aks chhīn
zulmāt-e-shab se tū mah-e-kāmil kashīd kar
ġham-hā-e-nā-rasā.ī-e-zauq-e-talab sameT
arzāniyoñ se shauq kī mushkil kashīd kar
bāda-o-añgbīñ se mire ḳhāl-o-ḳhad sañvār
maanī ke shāhkār se ik til kashīd kar
soz-e-darūñ tarāsh kisī barf-zār se
yaḳh-basta ashk mai ke muqābil kashīd kar
'anjum' sharār-e-ishq hai hañgāma-e-alast
band-e-hijāb se use ġhāfil kashīd kar
suraj se ras bhanwar se tu sahil kashid kar
sahra ke zarre zarre se mahmil kashid kar
in raeganiyon se kinara na kar qubul
la-hasili ke karb se hasil kashid kar
bhar tu sitara-war uDanen falak ke par
aur la-makan se phir koi manzil kashid kar
jazbon ki hiddaton se tu barfab khinch le
mina-e-ishq se tu mera dil kashid kar
tasKHir kar fishaar-e-rag-e-aftab ko
qaus-e-quzah se phir had-e-fasil kashid kar
imkan se tahayyur o shishe se aks chhin
zulmat-e-shab se tu mah-e-kaamil kashid kar
gham-ha-e-na-rasai-e-zauq-e-talab sameT
arzaniyon se shauq ki mushkil kashid kar
baada-o-angbin se mere KHal-o-KHad sanwar
mani ke shahkar se ek til kashid kar
soz-e-darun tarash kisi barf-zar se
yaKH-basta ashk mai ke muqabil kashid kar
'anjum' sharar-e-ishq hai hangama-e-alast
band-e-hijab se use ghafil kashid kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.