suraj sitare chand jo barbaad ho gae
sūraj sitāre chāñd jo barbād ho ga.e
andhī sadā kī qaid se āzād ho ga.e
shahr-e-panāh TuuT ke lo ho gayā khañDar
adh-kachchī ārzūoñ se ham shaad ho ga.e
phir DhūñDhtī phiregī ye pāgal havā kise
suune jazīre ham se jo ābād ho ga.e
lauT ā.eñge parinde na.ī rut ke saath saath
qisse kahāniyoñ ke vo din yaad ho ga.e
iz.hār chīḳhtā nahīñ jazbāt mar ga.e
kaise khilaune shahr meñ ījād ho ga.e
suraj sitare chand jo barbaad ho gae
andhi sada ki qaid se aazad ho gae
shahr-e-panah TuT ke lo ho gaya khanDar
adh-kachchi aarzuon se hum shad ho gae
phir DhunDhti phiregi ye pagal hawa kise
sune jazire hum se jo aabaad ho gae
lauT aaenge parinde nai rut ke sath sath
qisse kahaniyon ke wo din yaad ho gae
izhaar chiKHta nahin jazbaat mar gae
kaise khilaune shahr mein ijad ho gae
- Book : Khayaabaan (Pg. 120)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.