suraj uga to phul sa mahka hai kaun kaun
sūraj ugā to phuul sā mahkā hai kaun kaun
ab dekhnā yahī hai ki jaagā hai kaun kaun
bāhar se apne ruup ko pahchānte haiñ sab
bhītar se apne aap ko jaanā hai kaun kaun
lene ke saañs yuuñ to gunahgār haiñ sabhī
ye dekhiye ki shahr meñ zinda hai kaun kaun
apnā vajūd yuuñ to sameTe hue haiñ ham
dekho in āñdhiyoñ meñ bikhartā hai kaun kaun
da.ave to sab ke sun liye 'āzar' magar ye dekh
taare gagan se toḌ ke laatā hai kaun kaun
suraj uga to phul sa mahka hai kaun kaun
ab dekhna yahi hai ki jaga hai kaun kaun
bahar se apne rup ko pahchante hain sab
bhitar se apne aap ko jaana hai kaun kaun
lene ke sans yun to gunahgar hain sabhi
ye dekhiye ki shahr mein zinda hai kaun kaun
apna wajud yun to sameTe hue hain hum
dekho in aandhiyon mein bikharta hai kaun kaun
dawe to sab ke sun liye 'azar' magar ye dekh
tare gagan se toD ke lata hai kaun kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.