suraj uga to zindagi ki sham ho gai
sūraj ugā to zindagī kī shaam ho ga.ī
ab sub.h-e-nau bhī maut kā paiġhām ho ga.ī
dil meñ samā ga.iiñ vo zamāne kī nafrateñ
mehr-o-vafā bhī āḳhirash badnām ho ga.ī
insān saare masjid-o-mandir meñ baT ga.e
insāniyat is daur meñ nākām ho ga.ī
zaitūn kī jo shāḳh uThā.e thā haath meñ
gardan qalam usī kī sar-e-ām ho ga.ī
'afshāñ' kahāñ se laa.eñ vo aslāf kā ḳhulūs
tārīḳh kī kitāb hī nīlām ho ga.ī
suraj uga to zindagi ki sham ho gai
ab subh-e-nau bhi maut ka paigham ho gai
dil mein sama gain wo zamane ki nafraten
mehr-o-wafa bhi aaKHirash badnam ho gai
insan sare masjid-o-mandir mein baT gae
insaniyat is daur mein nakaam ho gai
zaitun ki jo shaKH uThae tha hath mein
gardan qalam usi ki sar-e-am ho gai
'afshan' kahan se laen wo aslaf ka KHulus
tariKH ki kitab hi nilam ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.