suraj uske ghar ki koi khiDki hai
suraj uske ghar ki koi khiDki hai
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
sūraj us ke ghar kī koī khiḌkī hai
sub.h khule to shaam ko bañd ho jaatī hai
nasl-e-ādam jis ke pīchhe hai pāgal
duniyā jannat se bhāgī ik laḌkī hai
'ishq bhī farz hai tere insāñ hone kā
shādī bhī sāmājik zimmedārī hai
niilā dupaTTa yaad hai kyā tum ko us kā
āsmān ke siine par jo bhārī hai
dil se āñkhoñ tak ik naddī hai jis meñ
har dam ulTī gangā bahtī rahtī hai
duniyā hai ehsās kā ik bekal dariyā
'ishq to paar utarne kī tayyārī hai
aag lagī hai dil meñ phir bhī ġham hai makīn
jaise titlī angāre par baiThī hai
kāñTe to chubhte haiñ keval paañv meñ
phūloñ kī dil ke chhāloñ se yaarī hai
raam nahīñ huuñ maiñ na to vo hī hai siitā
pāgal laḌkī saarī baat samajhtī hai
'shams' havā meñ rahne se to laakh gunā
behtar hai vo shaḳhs ki jis par miTTī hai
suraj us ke ghar ki koi khiDki hai
subh khule to sham ko band ho jati hai
nasl-e-adam jis ke pichhe hai pagal
duniya jannat se bhagi ek laDki hai
'ishq bhi farz hai tere insan hone ka
shadi bhi samajik zimmedari hai
nila dupaTTa yaad hai kya tum ko us ka
aasman ke sine par jo bhaari hai
dil se aankhon tak ek naddi hai jis mein
har dam ulTi ganga bahti rahti hai
duniya hai ehsas ka ek bekal dariya
'ishq to par utarne ki tayyari hai
aag lagi hai dil mein phir bhi gham hai makin
jaise titli angare par baiThi hai
kanTe to chubhte hain kewal panw mein
phulon ki dil ke chhaalon se yari hai
ram nahin hun main na to wo hi hai sita
pagal laDki sari baat samajhti hai
'shams' hawa mein rahne se to lakh guna
behtar hai wo shaKHs ki jis par miTTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.