surat-e-barq-e-tapan shoala-fagan uTThe hain
surat-e-barq-e-tapan shoala-fagan uTThe hain
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
sūrat-e-barq-e-tapāñ sho.ala-fagan uTThe haiñ
azm-e-nau le ke javānān-e-vatan uTThe haiñ
hifz-e-nāmūs-e-mohabbat ke liye dīvāne
apne dil meñ liye marne kī lagan uTThe haiñ
ruḳh zamāne kī havāoñ kā badalne vaale
aaj Daale hue māthe pe shikan uTThe haiñ
paikar-e-mehr-o-vafā ham haiñ magar majbūran
haath meñ teġh liye ġhalġhala-zan uTThe haiñ
aañch nāmūs-e-vatan par nahīñ aane deñge
ab to ham bāñdhe hue sar se kafan uTThe haiñ
chand lamhāt ke mehmān nazar aate haiñ
vo bagūle jo sar-e-sehn-e-chaman uTThe haiñ
ab añdheroñ se kaho ḳhair manā.eñ apnī
zarre dhartī ke mirī ban ke kiran uTThe haiñ
jab bhī aayā hai kaḌā vaqt chaman par 'manshā'
le ke ham hausla-e-fitna-shikan uTThe haiñ
surat-e-barq-e-tapan shoala-fagan uTThe hain
azm-e-nau le ke jawanan-e-watan uTThe hain
hifz-e-namus-e-mohabbat ke liye diwane
apne dil mein liye marne ki lagan uTThe hain
ruKH zamane ki hawaon ka badalne wale
aaj Dale hue mathe pe shikan uTThe hain
paikar-e-mehr-o-wafa hum hain magar majburan
hath mein tegh liye ghalghala-zan uTThe hain
aanch namus-e-watan par nahin aane denge
ab to hum bandhe hue sar se kafan uTThe hain
chand lamhat ke mehman nazar aate hain
wo bagule jo sar-e-sehn-e-chaman uTThe hain
ab andheron se kaho KHair manaen apni
zarre dharti ke meri ban ke kiran uTThe hain
jab bhi aaya hai kaDa waqt chaman par 'mansha'
le ke hum hausla-e-fitna-shikan uTThe hain
- Nawa-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.