surat-e-gham ki umanDte hue baadal ka mizaj
sūrat-e-ġham ki umañDte hue bādal kā mizāj
raas aa.e to bhalā kyoñ kisī āñchal kā mizāj
zindagī dhuup meñ tapte hue sahrā kī tarah
har ḳhushī ruuTh ke jaate hue bādal kā mizāj
kāġhazī kashtiyāñ bahte hue paanī meñ na chhoḌ
kis ko ma.alūm ki dariyā meñ hai daldal kā mizāj
shāḳh-e-shamshīr pe lo zaḳhm-e-bahārāñ mahke
rut badalte hī badal jaatā hai jangal kā mizāj
ab ke bastī meñ baḌī dhuum rahegī yaaro
chāñd raushan hai havā meñ bhī hai pāgal kā mizāj
us ke lahje kī halāvat meñ ghule jaate haiñ
us ne paayā hai magar dosto hanzal kā mizāj
kis ne dekhe haiñ badalte hue din-rāt 'shamīm'
kis ko ma.alūm ki raas aa.e kise kal kā mizāj
surat-e-gham ki umanDte hue baadal ka mizaj
ras aae to bhala kyon kisi aanchal ka mizaj
zindagi dhup mein tapte hue sahra ki tarah
har KHushi ruTh ke jate hue baadal ka mizaj
kaghazi kashtiyan bahte hue pani mein na chhoD
kis ko malum ki dariya mein hai daldal ka mizaj
shaKH-e-shamshir pe lo zaKHm-e-bahaaran mahke
rut badalte hi badal jata hai jangal ka mizaj
ab ke basti mein baDi dhum rahegi yaro
chand raushan hai hawa mein bhi hai pagal ka mizaj
us ke lahje ki halawat mein ghule jate hain
us ne paya hai magar dosto hanzal ka mizaj
kis ne dekhe hain badalte hue din-raat 'shamim'
kis ko malum ki ras aae kise kal ka mizaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.