surat-e-haal-e-dil badalta hai
sūrat-e-hāl-e-dil badaltā hai
koī rah rah ke haath maltā hai
dhuup se kyā shikāyateñ ki badan
chāñdnī-rāt meñ bhī jaltā hai
niiñd TuuTī hai kis kī aahaT se
sat.h-e-dil par koī to chaltā hai
ab kahāñ jaa.e mausam-e-hijrāñ
mere āñgan meñ aa nikaltā hai
aisā lagtā hai bachpanā ab bhī
merā āñchal pakaḌ ke chaltā hai
surat-e-haal-e-dil badalta hai
koi rah rah ke hath malta hai
dhup se kya shikayaten ki badan
chandni-raat mein bhi jalta hai
nind TuTi hai kis ki aahaT se
sath-e-dil par koi to chalta hai
ab kahan jae mausam-e-hijran
mere aangan mein aa nikalta hai
aisa lagta hai bachpana ab bhi
mera aanchal pakaD ke chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.