surat-e-marg faqat rah ki Thokar nikli
sūrat-e-marg faqat raah kī Thokar niklī
zindagī tū mire andāze se kamtar niklī
dhuup ne dukh diyā lekin mujhe tanhā na kiyā
ek parchhā.īñ mire jism se bāhar niklī
tere chehre se khulā mujh se bichhaḌne kā malāl
shakl ik aur tirī shakl ke andar niklī
sirf chakkar hī nahīñ paañv meñ zanjīr bhī hai
merī hālat mirī qismat se bhī abtar niklī
ātish-e-kibr nikaltī hī na thī dil se 'zafar'
chob-e-mimbar ko jalāyā to ye kāfir niklī
surat-e-marg faqat rah ki Thokar nikli
zindagi tu mere andaze se kamtar nikli
dhup ne dukh diya lekin mujhe tanha na kiya
ek parchhain mere jism se bahar nikli
tere chehre se khula mujh se bichhaDne ka malal
shakl ek aur teri shakl ke andar nikli
sirf chakkar hi nahin panw mein zanjir bhi hai
meri haalat meri qismat se bhi abtar nikli
aatish-e-kibr nikalti hi na thi dil se 'zafar'
chob-e-mimbar ko jalaya to ye kafir nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.