surat hai teri dil mein ye naqsh-o-nigar kar
surat hai teri dil mein ye naqsh-o-nigar kar
Abdul Qadir Saudagar
MORE BYAbdul Qadir Saudagar
sūrat hai terī dil meñ ye naqsh-o-nigār kar
parvānoñ meñ ai sham.a mujhe bhī shumār kar
ā.eñge din milan ke bhale intizār kar
dil ko na yuuñ ai vahshat-e-ġham be-qarār kar
taqdīr kah rahī hai magar ab pukār kar
qismat meñ vo nahīñ tirī sabr-o-qarār kar
rasm-e-vafā tū pyaar ke sab iḳhtiyār kar
yuuñ jī ke zindagī ko ai dil yādgār kar
tū ishq ke junūñ meñ garebāñ na taar kar
izzat kā kuchh lihāz to apnī ai yaar kar
qurbānī kuchh bhī pyaar hai māñge agar ai dil
īsār de to pyaar ko kuchh na vichār kar
ḳhud ke liye na jī haiñ taqāze bhī pyaar ke
nām-e-vafā ko na tū kabhī dāġh-dār kar
us ne miTāyā ḳhud ko kisī aur ke liye
jaatā hai dūsre kī vo bigḌī sañvār kar
qurbānī hai aziim jo soche zarā ye gar
dekho gayā vo jiitī huī baazī haar kar
māthe pe hai shikan na haiñ āsār-e-ġham ayaañ
kyā shaan se chalā shab-e-ġham vo guzār kar
mushkil hai chaah gar ho ziyāda bhī had se ye
ai dil kabhī na itnā kisī ko dulār kar
haiñ ranj tere ġham ke alāva jahāñ meñ aur
ai dil tū un kā bhī to kabhī kuchh vaqār kar
samra taraqqiyoñ kā na paa.e haiñ log chand
jo qaum ke liye jiye sab kuchh nisār kar
lambā hai qissa jān-e-vafā kā ai 'saudāgar'
dilchasp hai bayān meñ kuchh iḳhtisār kar
surat hai teri dil mein ye naqsh-o-nigar kar
parwanon mein ai shama mujhe bhi shumar kar
aaenge din milan ke bhale intizar kar
dil ko na yun ai wahshat-e-gham be-qarar kar
taqdir kah rahi hai magar ab pukar kar
qismat mein wo nahin teri sabr-o-qarar kar
rasm-e-wafa tu pyar ke sab iKHtiyar kar
yun ji ke zindagi ko ai dil yaadgar kar
tu ishq ke junun mein gareban na tar kar
izzat ka kuchh lihaz to apni ai yar kar
qurbani kuchh bhi pyar hai mange agar ai dil
isar de to pyar ko kuchh na wichaar kar
KHud ke liye na ji hain taqaze bhi pyar ke
nam-e-wafa ko na tu kabhi dagh-dar kar
us ne miTaya KHud ko kisi aur ke liye
jata hai dusre ki wo bigDi sanwar kar
qurbani hai azim jo soche zara ye gar
dekho gaya wo jiti hui bazi haar kar
mathe pe hai shikan na hain aasar-e-gham ayan
kya shan se chala shab-e-gham wo guzar kar
mushkil hai chah gar ho ziyaada bhi had se ye
ai dil kabhi na itna kisi ko dular kar
hain ranj tere gham ke alawa jahan mein aur
ai dil tu un ka bhi to kabhi kuchh waqar kar
samra taraqqiyon ka na pae hain log chand
jo qaum ke liye jiye sab kuchh nisar kar
lamba hai qissa jaan-e-wafa ka ai 'saudagar'
dilchasp hai bayan mein kuchh iKHtisar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.