surat hai wo aisi ki bhulai nahin jati
sūrat hai vo aisī ki bhulā.ī nahīñ jaatī
rūdād-e-ġham-e-hijr sunā.ī nahīñ jaatī
har sub.h-e-alam shām-e-sitam kā hai tasalsul
kyā dil pe guzartī hai batā.ī nahīñ jaatī
kahtī hai dulhan shaam kī bāloñ ko bikhere
yuuñ niiñd bhī āñkhoñ se uḌaa.ī nahīñ jaatī
chāhat pe kabhī bas nahīñ chaltā hai kisī kā
lag jaatī hai ye aag lagā.ī nahīñ jaatī
āsān nahīñ hai na.ī duniyā kā basānā
lekin kabhī tanhā ye basā.ī nahīñ jaatī
ashkoñ se 'hasan' aag kahīñ dil kī bujhī hai
ye aag to dariyā hai bujhā.ī nahīñ jaatī
surat hai wo aisi ki bhulai nahin jati
rudad-e-gham-e-hijr sunai nahin jati
har subh-e-alam sham-e-sitam ka hai tasalsul
kya dil pe guzarti hai batai nahin jati
kahti hai dulhan sham ki baalon ko bikhere
yun nind bhi aankhon se uDai nahin jati
chahat pe kabhi bas nahin chalta hai kisi ka
lag jati hai ye aag lagai nahin jati
aasan nahin hai nai duniya ka basana
lekin kabhi tanha ye basai nahin jati
ashkon se 'hasan' aag kahin dil ki bujhi hai
ye aag to dariya hai bujhai nahin jati
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 44)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.