surat utar na jae kahin mahtab ki
sūrat utar na jaa.e kahīñ māhtāb kī
kah do ki baat jhuuT hai un ke shabāb kī
shām-e-visāl sej pe sharmā.e juuñ dulhan
sharmā.ī yuuñ haiñ shāḳh pe kaliyāñ gulāb kī
patthar uchhāl dījiye yuuñ dil kī jhiil meñ
varna umiid rakhiye na mujh se javāb kī
manzil qarīb aa.ī to bhaTkā diyā gayā
in rahbaroñ ne zindagī merī ḳharāb kī
hālāt ne bigāḌ dī 'vāhid' kī shakl yuuñ
jaise ḳharāb jild ho achchhī kitāb kī
surat utar na jae kahin mahtab ki
kah do ki baat jhuT hai un ke shabab ki
sham-e-visal sej pe sharmae jun dulhan
sharmai yun hain shaKH pe kaliyan gulab ki
patthar uchhaal dijiye yun dil ki jhil mein
warna umid rakhiye na mujh se jawab ki
manzil qarib aai to bhaTka diya gaya
in rahbaron ne zindagi meri KHarab ki
haalat ne bigaD di 'wahid' ki shakl yun
jaise KHarab jild ho achchhi kitab ki
- Book : سمے کمہار ہے
- Author : چندر واحد
- Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.