taarufat ki KHatir zahin rahna hai
ta'ārufāt kī ḳhātir zahīn rahnā hai
so tai huā ki malūl-o-hazīn rahnā hai
bajā ki dasht munāsib hai har tarah se magar
junūñ meñ ab hameñ gosha-nashīn rahnā hai
ḳhushī ye hai ki har ummīd kī huī tadfīn
malāl ye hai ki baaqī yaqīn rahnā hai
hazār zāviya-e-rūh meñ vo tū hai jise
ba-hais-e-sāhab-e-ḳhāna makīn rahnā hai
ta'arufat ki KHatir zahin rahna hai
so tai hua ki malul-o-hazin rahna hai
baja ki dasht munasib hai har tarah se magar
junun mein ab hamein gosha-nashin rahna hai
KHushi ye hai ki har ummid ki hui tadfin
malal ye hai ki baqi yaqin rahna hai
hazar zawiya-e-ruh mein wo tu hai jise
ba-hais-e-sahab-e-KHana makin rahna hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 47)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.