Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talluqat ki ye raushni hai kitni der

Wasim Nadir

talluqat ki ye raushni hai kitni der

Wasim Nadir

MORE BYWasim Nadir

    ta'alluqāt ye raushnī hai kitnī der

    tire laboñ pe mirī shā'irī hai kitnī der

    vahī malāl sūraj vahī galī kūcha

    ai ḳhvāb-e-yār tirī zindagī hai kitnī der

    tujhe bhī ḳhvāhisheñ terī tabāh kar deñgī

    ai husn-e-yār tirī sādgī hai kitnī der

    bujhe paḌe haiñ tire shahr meñ ka.ī sūraj

    maiñ jāntā huuñ ye zinda-dilī hai kitnī der

    tire ḳhatoñ pe nazar paḌtī hai to sochtā huuñ

    mirī nigāh meñ ye raushnī hai kitnī der

    ab is ke baa'd vahī dasht hai vahī sahrā

    tumhārī aañkh meñ 'nādir' namī hai kitnī der

    ta'alluqat ki ye raushni hai kitni der

    tere labon pe meri sha'iri hai kitni der

    wahi malal ka suraj wahi gali kucha

    ai KHwab-e-yar teri zindagi hai kitni der

    tujhe bhi KHwahishen teri tabah kar dengi

    ai husn-e-yar teri sadgi hai kitni der

    bujhe paDe hain tere shahr mein kai suraj

    main jaanta hun ye zinda-dili hai kitni der

    tere KHaton pe nazar paDti hai to sochta hun

    meri nigah mein ye raushni hai kitni der

    ab is ke ba'd wahi dasht hai wahi sahra

    tumhaari aankh mein 'nadir' nami hai kitni der

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now