tassub ka agar pauda yahan panpa nahin hota
tassub ka agar pauda yahan panpa nahin hota
Arshad Rasool Badayuni
MORE BYArshad Rasool Badayuni
ta'assub kā agar paudā yahāñ panpā nahīñ hotā
to itnā bhī lahū insān kā sastā nahīñ hotā
lagī hai bhiiḌ apnoñ kī kabhī tanhā nahīñ hotā
ġhamoñ ke saḳht mausam meñ koī apnā nahīñ hotā
kahīñ ḳhargosh ban kar ḳhvāb sote hī na rah jaa.eñ
safar meñ der tak ārām bhī achchhā nahīñ hotā
agar toḌā gayā to ek ḳhanjar ban ke ubhregā
tumhārī bhuul hai nāzuk kabhī shīsha nahīñ hotā
agar laḌte jhagaḌte hī nahīñ ham billiyoñ jaise
ye mauqa bandaroñ ke haath meñ aaya nahīñ hotā
zarā sī der meñ mil jā.egī shohrat burā.ī ko
magar 'arshad' yahāñ sachchā.ī kā charchā nahīñ hotā
ta'assub ka agar pauda yahan panpa nahin hota
to itna bhi lahu insan ka sasta nahin hota
lagi hai bhiD apnon ki kabhi tanha nahin hota
ghamon ke saKHt mausam mein koi apna nahin hota
kahin KHargosh ban kar KHwab sote hi na rah jaen
safar mein der tak aaram bhi achchha nahin hota
agar toDa gaya to ek KHanjar ban ke ubhrega
tumhaari bhul hai nazuk kabhi shisha nahin hota
agar laDte jhagaDte hi nahin hum billiyon jaise
ye mauqa bandaron ke hath mein aaya nahin hota
zara si der mein mil jaegi shohrat burai ko
magar 'arshad' yahan sachchai ka charcha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.