ta-ba-aflak agar apni rasai hoti
tā-ba-aflāk agar apnī rasā.ī hotī
kuchh ta.ajjub nahīñ qabze meñ ḳhudā.ī hotī
nāsehā ham ko tabī.at pe jo qaabū hotā
dil sī daulat sar-e-bāzār gañvā.ī hotī
maut ne mujh ko farāmosh kiyā ḳhuub kiyā
aap ne aañkh na ai kaash churā.ī hotī
merī miTTī ko Thikāne jo lagāyā thā tujhe
sū-e-but-ḳhāna ye kam-baḳht uḌaa.ī hotī
sab ko tum sāġhar-e-zarrīñ meñ pilāte ho sharāb
hameñ talchhaT hī shikore meñ pilā.ī hotī
raat din shaiḳh-e-haram kalima butoñ kā paḌhtā
but-kade meñ jo kabhī us kī rasā.ī hotī
bhūlte ham na kabhī bād-e-sabā kā ehsāñ
kākul-e-yār kī ḳhushbū jo suñghā.ī hotī
pūchhtā maiñ bhī mizāj aap kā shoḳhī se yūñhī
choT dil kī jo kahīñ aap ne khaa.ī hotī
thā azal se dil-e-'āzam' meñ koī aur makīñ
us meñ kyā ishq hasīnāñ kī samā.ī hotī
ta-ba-aflak agar apni rasai hoti
kuchh tajjub nahin qabze mein KHudai hoti
naseha hum ko tabiat pe jo qabu hota
dil si daulat sar-e-bazar ganwai hoti
maut ne mujh ko faramosh kiya KHub kiya
aap ne aankh na ai kash churai hoti
meri miTTi ko Thikane jo lagaya tha tujhe
su-e-but-KHana ye kam-baKHt uDai hoti
sab ko tum saghar-e-zarrin mein pilate ho sharab
hamein talchhaT hi shikore mein pilai hoti
raat din shaiKH-e-haram kalima buton ka paDhta
but-kade mein jo kabhi us ki rasai hoti
bhulte hum na kabhi baad-e-saba ka ehsan
kakul-e-yar ki KHushbu jo sunghai hoti
puchhta main bhi mizaj aap ka shoKHi se yunhi
choT dil ki jo kahin aap ne khai hoti
tha azal se dil-e-'azam' mein koi aur makin
us mein kya ishq hasinan ki samai hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.