ta۔bir mein Dhal kar wo asar karne laga hai
ta۔bir mein Dhal kar wo asar karne laga hai
Khaleequzzaman Nusrat
MORE BYKhaleequzzaman Nusrat
tā۔bīr meñ Dhal kar vo asar karne lagā hai
vo ḳhvāb mirī aañkh ko tar karne lagā hai
sochā thā ki paḌh-likh ke samajhdār banegā
dukh is kā hai vo zer-zabar karne lagā hai
maiñ ne kahā taqdīr badalne kī adā siikh
vo apnī hathelī pe nazar karne lagā hai
ai mere suḳhan-sāz tirā tarz-e-takallum
dastak kī tarah dil par asar karne lagā hai
sach hai ki sabhī chehre nahīñ hote haqīqī
ḳhud aks mirā mujh se hazar karne lagā hai
maiñ ne jo kahā mujh se koī kaam to le le
vo sar ko idhar aur udhar karne lagā hai
yārān-e-munāfiq kā ye kahnā hai ki 'nusrat'
gumrāh mujhe merā hunar karne lagā hai
ta۔bir mein Dhal kar wo asar karne laga hai
wo KHwab meri aankh ko tar karne laga hai
socha tha ki paDh-likh ke samajhdar banega
dukh is ka hai wo zer-zabar karne laga hai
main ne kaha taqdir badalne ki ada sikh
wo apni hatheli pe nazar karne laga hai
ai mere suKHan-saz tera tarz-e-takallum
dastak ki tarah dil par asar karne laga hai
sach hai ki sabhi chehre nahin hote haqiqi
KHud aks mera mujh se hazar karne laga hai
main ne jo kaha mujh se koi kaam to le le
wo sar ko idhar aur udhar karne laga hai
yaran-e-munafiq ka ye kahna hai ki 'nusrat'
gumrah mujhe mera hunar karne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.