ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat
tā-chand suḳhan-sāzī-e-nairañg-e-ḳharābāt
yaañ qasd-e-ḳharābī hai na āhañg-e-ḳharābāt
aa dil meñ ki is dar pe jo baiThā hai phir un ne
farsaḳh gine ka.aba ke na farsañg-e-ḳharābāt
dekheñ to tirī dhuum Tuk ai shorish-e-mastī
phir aaj sar o siina hai aur sañg-e-ḳharābāt
tashbīh maiñ jis dil ko na dī ka.aba se so dil
ab ishq-e-mai-o-muġh se hai ham-rañg-e-ḳharābāt
ai ġhuncha-dahan bas lab-e-mai-gūñ ko tanik muuñd
dil tañg kahāñ tak ho dil-e-tañg-e-ḳharābāt
sau sar kā jo ho aa.e to maqbūl nahīñ yaañ
khaa.ī nahīñ jis rind ne sarchañg-e-ḳharābāt
kis naam se 'qā.em' maiñ tujhe kah tū pukārūñ
ai ār-e-dar-e-masjid o ai nañg-e-ḳharābāt
ta-chand suKHan-sazi-e-nairang-e-KHarabaat
yan qasd-e-KHarabi hai na aahang-e-KHarabaat
aa dil mein ki is dar pe jo baiTha hai phir un ne
farsaKH gine kaba ke na farsang-e-KHarabaat
dekhen to teri dhum Tuk ai shorish-e-masti
phir aaj sar o sina hai aur sang-e-KHarabaat
tashbih main jis dil ko na di kaba se so dil
ab ishq-e-mai-o-mugh se hai ham-rang-e-KHarabaat
ai ghuncha-dahan bas lab-e-mai-gun ko tanik mund
dil tang kahan tak ho dil-e-tang-e-KHarabaat
sau sar ka jo ho aae to maqbul nahin yan
khai nahin jis rind ne sarchang-e-KHarabaat
kis nam se 'qaem' main tujhe kah tu pukarun
ai aar-e-dar-e-masjid o ai nang-e-KHarabaat
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.