ta-chand uske jaur ke sadme uThae dil
ta-chand uske jaur ke sadme uThae dil
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
tā-chand us ke jaur ke sadme uThā.e dil
patthar nahīñ hai siine meñ jo taab laa.e dil
mash.hūr us kā ho ke maiñ badnām ho gayā
ab rafta-rafta dekhiye kyā kyā dikhā.e dil
aa.e agar vo ġhairat-e-gul mere baaġh meñ
dil-shād bāġhbān ho aur phuul jaa.e dil
kis tarah bevafā pe kare koī e.atibār
kis tarah us se koī phir apnā lagā.e dil
dar-parda apnā kaam ye kartī hai rāt-din
qātil kī teġh-e-nāz se kyūñkar bachā.e dil
ham us se kyā mile ki bas apne se kho ga.e
thī āshiqī meñ us kī yahī to sazā-e-dil
maiñ bechtā huuñ muft jo ho mushtarī koī
arzāñ ho is se 'shād' kaho kyā bahā-e-dil
ta-chand us ke jaur ke sadme uThae dil
patthar nahin hai sine mein jo tab lae dil
mashhur us ka ho ke main badnam ho gaya
ab rafta-rafta dekhiye kya kya dikhae dil
aae agar wo ghairat-e-gul mere bagh mein
dil-shad baghban ho aur phul jae dil
kis tarah bewafa pe kare koi eatibar
kis tarah us se koi phir apna lagae dil
dar-parda apna kaam ye karti hai raat-din
qatil ki tegh-e-naz se kyunkar bachae dil
hum us se kya mile ki bas apne se kho gae
thi aashiqi mein us ki yahi to saza-e-dil
main bechta hun muft jo ho mushtari koi
arzan ho is se 'shad' kaho kya baha-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.