ta-hadd-e-nazar arsh pe phaila jo dhuan hai
tā-hadd-e-nazar arsh pe phailā jo dhuāñ hai
fariyād hai mātam hai bapā āh-o-fuġhāñ hai
Dartā huuñ na ho jaa.eñ ye patthar mirī āñkheñ
sad-shukr in āñkhoñ meñ abhī sail-e-ravāñ hai
rone se kaleje ko milā kartī hai ThanDak
shabbīr sā duniyā meñ koī ġham bhī kahāñ hai
maiñ hosh meñ aa.uuñ bhī to kis vāste aa.uuñ
mad.hoshī-e-ġham hī to mirī jā-e-amāñ hai
yūñhī nahīñ mahfūz hai ye gardish-e-aflāk
shabbīr kā ġham ālam-e-ḳhilqat kī amaañ hai
mātam se jo khulte haiñ badan par mire chhāle
ye zaḳhm nahīñ ye to tahārat kā nishāñ hai
is tauq meñ gardan ke ayaañ hai koī inkār
zanjīr sambhāle hue aalam kī amaañ hai
sar pe jo mayassar nahīñ hai chādar-e-tathīr
is zulm-e-yazīdī pe falak nauha-kunāñ hai
nannhī sī kalī qaid-e-salāsil aur yatīmī
ai qahr-e-ḳhudāvand tū kahāñ hai tū kahāñ hai
ye roz kā mātam ye azā-dārī ye ronā
sadqa hai sakīna kā jo sīnoñ meñ nihāñ hai
'kāzim' yahī baḳhshish kā hai sāmāñ yahī pūñjī
siine meñ mire ġham kā jo sailāb ravāñ hai
ta-hadd-e-nazar arsh pe phaila jo dhuan hai
fariyaad hai matam hai bapa aah-o-fughan hai
Darta hun na ho jaen ye patthar meri aankhen
sad-shukr in aankhon mein abhi sail-e-rawan hai
rone se kaleje ko mila karti hai ThanDak
shabbir sa duniya mein koi gham bhi kahan hai
main hosh mein aaun bhi to kis waste aaun
madhoshi-e-gham hi to meri ja-e-aman hai
yunhi nahin mahfuz hai ye gardish-e-aflak
shabbir ka gham aalam-e-KHilqat ki aman hai
matam se jo khulte hain badan par mere chhaale
ye zaKHm nahin ye to tahaarat ka nishan hai
is tauq mein gardan ke ayan hai koi inkar
zanjir sambhaale hue aalam ki aman hai
sar pe jo mayassar nahin hai chadar-e-tathir
is zulm-e-yazidi pe falak nauha-kunan hai
nannhi si kali qaid-e-salasil aur yatimi
ai qahr-e-KHudawand tu kahan hai tu kahan hai
ye roz ka matam ye aza-dari ye rona
sadqa hai sakina ka jo sinon mein nihan hai
'kazim' yahi baKHshish ka hai saman yahi punji
sine mein mere gham ka jo sailab rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.