ta-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makan hai
tā-hadd-e-nazar barhamī-e-kaun-o-makāñ hai
dekhe se to lagtā hai ki āġhāz-e-jahāñ hai
ik aan hī khiñchte haiñ nigāhoñ meñ do manzar
ye ālam-e-maujūd haqīqat hai gumāñ hai
dekhe to bahut dair-o-haram taak kalīsā
duniyā meñ magar tujh sā hasīñ koī kahāñ hai
har zarra tirā paikar-e-partav nazar aaya
ye soch rahā huuñ tū nihāñ hai ki ayaañ hai
bulbul ke ye naġhme ki havāoñ kī ye sarsar
karte haiñ bhajan terā ki āvāz-e-azāñ hai
ta-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makan hai
dekhe se to lagta hai ki aaghaz-e-jahan hai
ek aan hi khinchte hain nigahon mein do manzar
ye aalam-e-maujud haqiqat hai guman hai
dekhe to bahut dair-o-haram tak kalisa
duniya mein magar tujh sa hasin koi kahan hai
har zarra tera paikar-e-partaw nazar aaya
ye soch raha hun tu nihan hai ki ayan hai
bulbul ke ye naghme ki hawaon ki ye sarsar
karte hain bhajan tera ki aawaz-e-azan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.