ta-hashr to firaq ka ehsan hai aur hum
tā-hashr to firāq kā ehsāñ hai aur ham
kyā ba.ad-e-hashr bhī shab-e-hijrāñ hai aur ham
duniyā to jāntī hai ki zindāñ hai aur ham
ham jānte haiñ ḳhalvat-e-jānāñ hai aur ham
piirī hai aur koshish-e-darmāñ hai aur ham
maidāñ hai aur umr-e-gurezāñ hai aur ham
kis ko bhalā nasīb huī aisī saltanat
hadd-e-ḳhayāl tak ye bayābāñ hai aur ham
ik naam zindagī bhī hai qaid-e-hayāt kā
tā-marg āb-o-gil kā ye zindāñ hai aur ham
mahshar hai intizār-e-savāl-o-javāb hai
lekin fasāna-e-ġham-e-hijrāñ hai aur ham
le-de ke rah gayā hai yahī ek mashġhala
fikr-e-javāb-e-daftar-e-isyānñ hai aur ham
ta-hashr to firaq ka ehsan hai aur hum
kya baad-e-hashr bhi shab-e-hijran hai aur hum
duniya to jaanti hai ki zindan hai aur hum
hum jaante hain KHalwat-e-jaanan hai aur hum
piri hai aur koshish-e-darman hai aur hum
maidan hai aur umr-e-gurezan hai aur hum
kis ko bhala nasib hui aisi saltanat
hadd-e-KHayal tak ye bayaban hai aur hum
ek nam zindagi bhi hai qaid-e-hayat ka
ta-marg aab-o-gil ka ye zindan hai aur hum
mahshar hai intizar-e-sawal-o-jawab hai
lekin fasana-e-gham-e-hijran hai aur hum
le-de ke rah gaya hai yahi ek mashghala
fikr-e-jawab-e-daftar-e-isyann hai aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.