taaqub mera KHushbu kar rahi thi
ta'āqub merā ḳhushbū kar rahī thī
mire zaḳhmoñ pe marham dhar rahī thī
maiñ chheḌūñ phir vahī sāz-e-mohabbat
ishāre vo musalsal kar rahī thī
huā din fikr-e-duniyā ne dabochā
tumhārī yaad to shab bhar rahī thī
vo din bhī the ki tū ne ashk poñchhe
tirī mamnūn chashm-e-tar rahī thī
hamārā naam kyā sūrat nahīñ yaad
mulāqāt un se to aksar rahī thī
sahar tak raat kī raanī kī ḳhushbū
mirī añgnā.ī meñ din bhar rahī thī
ta'aqub mera KHushbu kar rahi thi
mere zaKHmon pe marham dhar rahi thi
main chheDun phir wahi saz-e-mohabbat
ishaare wo musalsal kar rahi thi
hua din fikr-e-duniya ne dabocha
tumhaari yaad to shab bhar rahi thi
wo din bhi the ki tu ne ashk ponchhe
teri mamnun chashm-e-tar rahi thi
hamara nam kya surat nahin yaad
mulaqat un se to aksar rahi thi
sahar tak raat ki rani ki KHushbu
meri angnai mein din bhar rahi thi
- Book : Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 83)
- Author : Salma Shaheen
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.