tab-e-didar la nahin sakte
tāb-e-dīdār lā nahīñ sakte
un se nazreñ milā nahīñ sakte
rāz-e-dil ab chhupā nahīñ sakte
aur zabāñ par bhī lā nahīñ sakte
dil meñ rahtī hai ik ḳhalish paiham
jis ko ham ḳhud batā nahīñ sakte
jur.at-e-dil kahāñ kahāñ jalve
hosh meñ ham ab aa nahīñ sakte
dil meñ aise bhī chand shikve haiñ
jo zabāñ par bhī lā nahīñ sakte
arsh-ras the kabhī yahī naale
aaj lab tak bhī aa nahīñ sakte
chal rahī hai havā vo gulshan meñ
āshiyāñ tak banā nahīñ sakte
maslahat kuchh to hai 'munīr' is meñ
varna kyā ḳhud vo aa nahīñ sakte
tab-e-didar la nahin sakte
un se nazren mila nahin sakte
raaz-e-dil ab chhupa nahin sakte
aur zaban par bhi la nahin sakte
dil mein rahti hai ek KHalish paiham
jis ko hum KHud bata nahin sakte
jurat-e-dil kahan kahan jalwe
hosh mein hum ab aa nahin sakte
dil mein aise bhi chand shikwe hain
jo zaban par bhi la nahin sakte
arsh-ras the kabhi yahi nale
aaj lab tak bhi aa nahin sakte
chal rahi hai hawa wo gulshan mein
aashiyan tak bana nahin sakte
maslahat kuchh to hai 'munir' is mein
warna kya KHud wo aa nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.