tab kho baiTha har ek jauhar-e-KHaki mera
taab kho baiThā har ik jauhar-e-ḳhākī merā
jaane kis rang meñ hogā gul-e-ḳhūbī merā
zabt-e-girya meñ hai mashshāq tamanna to bhī
qatra-qatra sahī dāman to bhigotī merā
chāk-e-vahshat se utārā to karam bhī farmā
yūñhī kab se hai dharā kūza-e-hastī merā
terī ḳhushbū tirā paikar hai mire she'roñ meñ
jaan yūñhī nahīñ ye tarz-e-misālī merā
merī duniyā isī duniyā meñ kahīñ rahtī hai
varna ye duniyā kahāñ husn-e-talab thī merā
tab kho baiTha har ek jauhar-e-KHaki mera
jaane kis rang mein hoga gul-e-KHubi mera
zabt-e-girya mein hai mashshaq tamanna to bhi
qatra-qatra sahi daman to bhigoti mera
chaak-e-wahshat se utara to karam bhi farma
yunhi kab se hai dhara kuza-e-hasti mera
teri KHushbu tera paikar hai mere she'ron mein
jaan yunhi nahin ye tarz-e-misali mera
meri duniya isi duniya mein kahin rahti hai
warna ye duniya kahan husn-e-talab thi mera
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 54)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.