tabir jaanti hai sar-e-dar kyon hue
Interesting Fact
(Dedicated to Parwez Shahdi)
ta.abīr jāntī hai sar-e-dār kyoñ hue
ham ḳhvāb dekhne ke gunahgār kyoñ hue
bāzār-e-totā-chashm se lauTo to pūchhnā
ham be-muravvatī ke ḳharīdār kyoñ hue
ham par itaab dhuup kā hai to sabab bhī hai
dasht-e-alam meñ sāya-e-dīvār kyoñ hue
ahbāb kī hai baat kaheñ to kise kaheñ
ham saañp pālne ke gunahgār kyoñ hue
pal bhar hamāre ghar meñ bhī phir ham se pūchhnā
is kaaT khātī qabr se bezār kyoñ hue
turfa na kyoñ lahū kā ho behadd-o-be-hisāb
ham shahr-e-kārobār meñ fankār kyoñ hue
haañ lā.eq-e-sazā haiñ ki bazm-e-ġhazal meñ bhī
ham log marsiya ke talabgār kyoñ hue
tabir jaanti hai sar-e-dar kyon hue
hum KHwab dekhne ke gunahgar kyon hue
bazar-e-tota-chashm se lauTo to puchhna
hum be-murawwati ke KHaridar kyon hue
hum par itab dhup ka hai to sabab bhi hai
dasht-e-alam mein saya-e-diwar kyon hue
ahbab ki hai baat kahen to kise kahen
hum sanp palne ke gunahgar kyon hue
pal bhar hamare ghar mein bhi phir hum se puchhna
is kaT khati qabr se bezar kyon hue
turfa na kyon lahu ka ho behadd-o-be-hisab
hum shahr-e-karobar mein fankar kyon hue
han laeq-e-saza hain ki bazm-e-ghazal mein bhi
hum log marsiya ke talabgar kyon hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.