tabiron ko DhunD rahi hun KHwabon ki parwah nahin
tabiron ko DhunD rahi hun KHwabon ki parwah nahin
Vala Jamal Al Aseeli
MORE BYVala Jamal Al Aseeli
ta.abīroñ ko DhūñD rahī huuñ ḳhvāboñ kī parvāh nahīñ
manzil par hī nazar hai merī rastoñ kī parvāh nahīñ
us ko kyā ma.alūm ki sadiyāñ lamhoñ se hī bantī haiñ
sadiyoñ kī hai fikr use in lamhoñ kī parvāh nahīñ
apne-pan kā matlab bhī to logoñ ko ma.alūm nahīñ
merā apnā vo hai jis ko apnoñ kī parvāh nahīñ
maiñ ne dil meñ Thaan liyā thā zanjīroñ ko toḌūngī
lekin mere dil ne pūchhā rishtoñ kī parvāh nahīñ
ham ne khaa.e zaḳhm 'vilā' ham un se duur hī rahte haiñ
phūloñ se vo khele jis ko kāñToñ kī parvāh nahīñ
tabiron ko DhunD rahi hun KHwabon ki parwah nahin
manzil par hi nazar hai meri raston ki parwah nahin
us ko kya malum ki sadiyan lamhon se hi banti hain
sadiyon ki hai fikr use in lamhon ki parwah nahin
apne-pan ka matlab bhi to logon ko malum nahin
mera apna wo hai jis ko apnon ki parwah nahin
main ne dil mein Than liya tha zanjiron ko toDungi
lekin mere dil ne puchha rishton ki parwah nahin
hum ne khae zaKHm 'wila' hum un se dur hi rahte hain
phulon se wo khele jis ko kanTon ki parwah nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.