tabinda bahaaron ke nazare nahin dekhe
tābinda bahāroñ ke nazāre nahīñ dekhe
tū ne vo chamakte hue taare nahīñ dekhe
kuchh is liye bhī niiñd hameñ aatī hai jaldī
āñkhoñ ne abhī ḳhvāb tumhāre nahīñ dekhe
ḳhud haath milāyā hai samundar meñ bhañvar se
kashtī ne talātum meñ sahāre nahīñ dekhe
mumkin hai kisī taur koī chāra bhī hotā
tū ne hī kabhī zaḳhm hamāre nahīñ dekhe
kyā kyā na sitam mujh pe kiyā raat ne aa kar
din kaise mirī jaan guzāre nahīñ dekhe
kyā dekh rahe ho ye mohabbat ke karam haiñ
tum ne kabhī taqdīr ke maare nahīñ dekhe
tabinda bahaaron ke nazare nahin dekhe
tu ne wo chamakte hue tare nahin dekhe
kuchh is liye bhi nind hamein aati hai jaldi
aankhon ne abhi KHwab tumhaare nahin dekhe
KHud hath milaya hai samundar mein bhanwar se
kashti ne talatum mein sahaare nahin dekhe
mumkin hai kisi taur koi chaara bhi hota
tu ne hi kabhi zaKHm hamare nahin dekhe
kya kya na sitam mujh pe kiya raat ne aa kar
din kaise meri jaan guzare nahin dekhe
kya dekh rahe ho ye mohabbat ke karam hain
tum ne kabhi taqdir ke mare nahin dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.