tabinda husn-e-raaz-e-bahaaran hamin se hai
tābinda husn-e-rāz-e-bahārāñ hamīñ se hai
nazm-e-ḳhizāñ jo hai to hirāsāñ hamīñ se hai
apne lahū kā rañg milā hai bahār meñ
laala misāl-e-shola-e-raqsāñ hamīñ se hai
jaltā hai apnā ḳhuuñ hī sar-e-bazm rāt-bhar
ai husn-e-be-ḳhabar ye charāġhāñ hamīñ se hai
ham aaj shahr-e-yār ke ma.atūb haiñ to kyā
har-dam vo apne shahr meñ tarsāñ hamīñ se hai
rakkhī hai ham ne apnī zabāñ par vafā kī teġh
nām-e-nikū-e-yār pur-afshāñ hamīñ se hai
har-rañg meñ rahe hamīñ sar-chashma-e-hayāt
hai kā.enāt ham se to yazdāñ hamīñ se hai
marhūn-e-shuq bāda-gusārāñ hai daur-e-jām
miinā huzūr-e-yār ġhazal-ḳhvāñ hamīñ se hai
shohrā tirā gayā mire naġhmoñ ke saath saath
aalam ko terī diid kā armāñ hamīñ se hai
āñkhoñ meñ 'arsh' dard ne bhaḌkā.e haiñ kañval
āb-e-ravāñ meñ ātish-e-sozāñ hamīñ se hai
tabinda husn-e-raaz-e-bahaaran hamin se hai
nazm-e-KHizan jo hai to hirasan hamin se hai
apne lahu ka rang mila hai bahaar mein
lala misal-e-shola-e-raqsan hamin se hai
jalta hai apna KHun hi sar-e-bazm raat-bhar
ai husn-e-be-KHabar ye charaghan hamin se hai
hum aaj shahr-e-yar ke matub hain to kya
har-dam wo apne shahr mein tarsan hamin se hai
rakkhi hai hum ne apni zaban par wafa ki tegh
nam-e-niku-e-yar pur-afshan hamin se hai
har-rang mein rahe hamin sar-chashma-e-hayat
hai kaenat hum se to yazdan hamin se hai
marhun-e-shuq baada-gusaran hai daur-e-jam
mina huzur-e-yar ghazal-KHwan hamin se hai
shohra tera gaya mere naghmon ke sath sath
aalam ko teri did ka arman hamin se hai
aankhon mein 'arsh' dard ne bhaDkae hain kanwal
aab-e-rawan mein aatish-e-sozan hamin se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.