tabish-e-chashm-e-tar mein rahte hain
tābish-e-chashm-e-tar meñ rahte haiñ
aks dīvār-o-dar meñ rahte haiñ
dafn ho kar bhī jaan se pyāre
dil ke vīrāñ nagar meñ rahte haiñ
manziloñ se nikal ke aage ham
yaad kī rahguzar meñ rahte haiñ
kārvāñ kab hamāre saath rahā
ham to tanhā safar meñ rahte haiñ
un se bār-e-digar nahīñ nisbat
vo jo bār-e-digar meñ rahte haiñ
kyoñ masīhā kā intizār kareñ
ham duā ke asar meñ rahte haiñ
TuuTe tāroñ kī raushnī kī tarah
kitne chehre nazar meñ rahte haiñ
chehragī ke tamām-tar chehre
dast-e-ā.īna-gar meñ rahte haiñ
sab kamāl-o-zavāl ke pahlū
apnī chashm-e-hunar meñ rahte haiñ
pūchh kar tā.eroñ se aksar ham
ik ghanere shajar meñ rahte haiñ
ishq ke raaz ḳhushbuoñ ke payām
sab nasīm-e-sahar meñ rahte haiñ
zulmatoñ ko ujālne vaale
nūr-e-fat.h-o-'zafar' meñ rahte haiñ
tabish-e-chashm-e-tar mein rahte hain
aks diwar-o-dar mein rahte hain
dafn ho kar bhi jaan se pyare
dil ke viran nagar mein rahte hain
manzilon se nikal ke aage hum
yaad ki rahguzar mein rahte hain
karwan kab hamare sath raha
hum to tanha safar mein rahte hain
un se bar-e-digar nahin nisbat
wo jo bar-e-digar mein rahte hain
kyon masiha ka intizar karen
hum dua ke asar mein rahte hain
TuTe taron ki raushni ki tarah
kitne chehre nazar mein rahte hain
chehragi ke tamam-tar chehre
dast-e-aina-gar mein rahte hain
sab kamal-o-zawal ke pahlu
apni chashm-e-hunar mein rahte hain
puchh kar taeron se aksar hum
ek ghanere shajar mein rahte hain
ishq ke raaz KHushbuon ke payam
sab nasim-e-sahar mein rahte hain
zulmaton ko ujalne wale
nur-e-fath-o-'zafar' mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.