tabish-e-dandan se un ke rishta-e-gauhar khula
tābish-e-dandāñ se un ke rishta-e-gauhar khulā
āsmāñ par jalva-e-ruḳhsār se aḳhtar khulā
sāmne baiThe the vo ḳhalvat thī aur koī na thā
aise aalam meñ hamāre shauq kā daftar khulā
munkir us but ke jo haiñ paate haiñ vo achchhī sazā
chūmte haiñ jā ke ka.aba meñ vahī patthar khulā
maiñ shamīm-e-nik.hat-e-gul kā kahāñ pā.ūñ dimāġh
sāmne yuuñ to nigāhoñ ke hai ik manzar khulā
jab chalī auroñ pe kyā be-āb ho kar rah ga.ī
merī gardan par chalī tab teġh kā jauhar khulā
ik tilism-e-āb-o-gil hī to hai saarī zindagī
raaz ye koī batā.e jiite jī kis par khulā
vahshat-e-ahl-e-junūñ is darja ab mādūm hai
rāt-din rahne lagā zindāñ kā ab to dar khulā
ban ga.ī kunjī zamīn-e-sher-e-ġhālib kyā kahūñ
ya.anī 'māhir' aaj ye qufl-e-sukūt āḳhar khulā
tabish-e-dandan se un ke rishta-e-gauhar khula
aasman par jalwa-e-ruKHsar se aKHtar khula
samne baiThe the wo KHalwat thi aur koi na tha
aise aalam mein hamare shauq ka daftar khula
munkir us but ke jo hain pate hain wo achchhi saza
chumte hain ja ke kaba mein wahi patthar khula
main shamim-e-nikhat-e-gul ka kahan paun dimagh
samne yun to nigahon ke hai ek manzar khula
jab chali auron pe kya be-ab ho kar rah gai
meri gardan par chali tab tegh ka jauhar khula
ek tilism-e-ab-o-gil hi to hai sari zindagi
raaz ye koi batae jite ji kis par khula
wahshat-e-ahl-e-junun is darja ab madum hai
raat-din rahne laga zindan ka ab to dar khula
ban gai kunji zamin-e-sher-e-ghaalib kya kahun
yani 'mahir' aaj ye qufl-e-sukut aaKHar khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.