tabish-e-gesu-e-KHamdar liye phirta hai
tābish-e-gesū-e-ḳhamdār liye phirtā hai
koī is shahr meñ talvār liye phirtā hai
maiñ ki rahtā huuñ kisī ālam-e-sarmastī meñ
kyā kahūñ mujh ko kahāñ yaar liye phirtā hai
baat to ye hai ki vo ghar se nikaltā bhī nahīñ
aur mujh ko sar-e-bāzār liye phirtā hai
jism ke saath to rahtā huuñ maiñ is paar magar
ruuh ke saath vo us paar liye phirtā hai
tabish-e-gesu-e-KHamdar liye phirta hai
koi is shahr mein talwar liye phirta hai
main ki rahta hun kisi aalam-e-sarmasti mein
kya kahun mujh ko kahan yar liye phirta hai
baat to ye hai ki wo ghar se nikalta bhi nahin
aur mujh ko sar-e-bazar liye phirta hai
jism ke sath to rahta hun main is par magar
ruh ke sath wo us par liye phirta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.