tabish ye bhala kaun si rut aai hai jaani
tābish ye bhalā kaun sī rut aa.ī hai jaanī
sahrā meñ koī reg na dariyā meñ hai paanī
ḳhalvat-kada-e-dil pe zabūñ-hālī-e-bisyār
hai sūrat ganjīna-e-alfāz-o-ma'ānī
har chand huī is ke evaz dil kī ḳharābī
kyā kahiye ki baḌhtā rahā shauq-e-hama-dānī
mujh se mirī rotī huī āñkheñ to na chhīno
rahne do mire paas mirī koī nishānī
dīvār-o-dar-o-bām kī vīrānī ne aksar
ro ro ke kahī mausam-e-rafta kī kahānī
tabish ye bhala kaun si rut aai hai jaani
sahra mein koi reg na dariya mein hai pani
KHalwat-kada-e-dil pe zabun-haali-e-bisyar
hai surat ganjina-e-alfaz-o-ma'ani
har chand hui is ke ewaz dil ki KHarabi
kya kahiye ki baDhta raha shauq-e-hama-dani
mujh se meri roti hui aankhen to na chhino
rahne do mere pas meri koi nishani
diwar-o-dar-o-baam ki virani ne aksar
ro ro ke kahi mausam-e-rafta ki kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.