tair-e-dil jo tera dhyan pakaD leta hai
tā.ir-e-dil jo tirā dhyān pakaḌ letā hai
choñch meñ taḳht-e-sulaimān pakaḌ letā hai
mere andar bhī koī shaḳhs hai rahtā aisā
chup rahūñ to vo garebān pakaḌ letā hai
jab dil-o-jāñ liye aatā huuñ galī meñ terī
kaun hai jo mirā sāmān pakaḌ letā hai
pūchh letā huuñ agar pyaar hai kitnā mujh se
uTh ke hāthoñ meñ vo qur.ān pakaḌ letā hai
yuuñ to manzil mirī lahore hai lekin rah meñ
gujrāñwala hai jo mehmān pakaḌ letā hai
vasl-lamhoñ meñ hai āsān mohabbat karnā
hijr meñ qais bhī ho kaan pakaḌ letā hai
lauTtā huuñ to sisakte haiñ darīche saare
aage baḌhtā huuñ to darbān pakaḌ letā hai
mahv ho jā.ūñ jo maiñ misr ke jalvoñ meñ kabhī
merā dāman mirā kan’ān pakaḌ letā hai
jab bhī miltā hai mujhe izn-e-rihā.ī 'sāgar'
phir mujhe gosha-e-zindān pakaḌ letā hai
tair-e-dil jo tera dhyan pakaD leta hai
chonch mein taKHt-e-sulaiman pakaD leta hai
mere andar bhi koi shaKHs hai rahta aisa
chup rahun to wo gareban pakaD leta hai
jab dil-o-jaan liye aata hun gali mein teri
kaun hai jo mera saman pakaD leta hai
puchh leta hun agar pyar hai kitna mujh se
uTh ke hathon mein wo quran pakaD leta hai
yun to manzil meri lahore hai lekin rah mein
gujranwala hai jo mehman pakaD leta hai
wasl-lamhon mein hai aasan mohabbat karna
hijr mein qais bhi ho kan pakaD leta hai
lauTta hun to sisakte hain dariche sare
aage baDhta hun to darban pakaD leta hai
mahw ho jaun jo main misr ke jalwon mein kabhi
mera daman mera kan’an pakaD leta hai
jab bhi milta hai mujhe izn-e-rihai 'sagar'
phir mujhe gosha-e-zindan pakaD leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.