tair hai aae aae na aae zafil par
taa.ir hai aa.e aa.e na aa.e zafīl par
āḳhir ko aa giregā badan kī fasīl par
aisī bhī kyā ḳhatā thī jo sukh-chain le ga.ī
maazī meñ jhāñktā huuñ isī ik dalīl par
kamre kī phir fazā meñ hai mānūs sī mahak
phir ḳhvāb koī utrā hai nīñdoñ kī jhiil par
maiñ ḳhvāhishoñ kī umr se aage nikal gayā
tasvīr ho gayā huuñ laTaknā hai kiil par
qātil ke haq meñ qaazī gavāhī bhī de gayā
ilzām hai faqat ye hasīn-o-jamīl par
'sābir' jahāñ likhā thā safar umr bhar kā hai
kuchh naqsh-e-pā bane the usī sang-e-mīl par
tair hai aae aae na aae zafil par
aaKHir ko aa girega badan ki fasil par
aisi bhi kya KHata thi jo sukh-chain le gai
mazi mein jhankta hun isi ek dalil par
kamre ki phir faza mein hai manus si mahak
phir KHwab koi utra hai nindon ki jhil par
main KHwahishon ki umr se aage nikal gaya
taswir ho gaya hun laTakna hai kil par
qatil ke haq mein qazi gawahi bhi de gaya
ilzam hai faqat ye hasin-o-jamil par
'sabir' jahan likha tha safar umr bhar ka hai
kuchh naqsh-e-pa bane the usi sang-e-mil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.