taj mangun na KHazana chahiye
taaj māñgūñ na ḳhazāna chāhiye
so sakūñ jis par bichhaunā chāhiye
sher kahne meñ burā.ī kuchh nahīñ
bas nayā andāz honā chāhiye
baat aisī ho ki dil ko chiir de
sun ke zālim ko bhī ronā chāhiye
ghar ke bāhar khelte the sab kabhī
ab to ghar meñ ek konā chāhiye
kis tarah 'shamsher' sab se ye kahe
rizq jitnā dil bhī utnā chāhiye
taj mangun na KHazana chahiye
so sakun jis par bichhauna chahiye
sher kahne mein burai kuchh nahin
bas naya andaz hona chahiye
baat aisi ho ki dil ko chir de
sun ke zalim ko bhi rona chahiye
ghar ke bahar khelte the sab kabhi
ab to ghar mein ek kona chahiye
kis tarah 'shamsher' sab se ye kahe
rizq jitna dil bhi utna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.