talib-e-did ko manzil-e-ishq mein kaun kahta hai ye rahbar chahiye
talib-e-did ko manzil-e-ishq mein kaun kahta hai ye rahbar chahiye
Ishrat Jahangirpuri
MORE BYIshrat Jahangirpuri
tālib-e-dīd ko manzil-e-'ishq meñ kaun kahtā hai ye rāhbar chāhiye
un kā jalva har ik shai meñ maujūd hai mo'tabar apnā zauq-e-nazar chāhiye
ham asīroñ kā sayyād armāñ ye hai bas nazar bhar ke phir āshiyāñ dekh leñ
go ye sach hai ki parvāz ke vāste kuchh na kuchh quvvat-e-bāl-o-par chāhiye
saḳhtiyāñ kaisī aur kaisī nākāmiyāñ manzil-e-'ishq meñ kaisī dushvāriyāñ
kāmyābī qadam-bos hone lage 'azm-e-mohkam meñ itnā asar chāhiye
ai nasīm-e-sahar aisā dhoka na de āmad-e-fasl-e-gul kā sahārā na de
rut na badle ki badle hameñ kyā ġharaz ham ko aane kī un ke ḳhabar chāhiye
maiñ jagah kī parastish to kartā nahīñ ik tasavvur ke aage jhukātā huuñ sar
nāsehā mujh ko samjhānā bekār hai aur hoñge jinheñ sang-e-dar chāhiye
dāstāneñ sunāne se kyā fā.eda rāz-e-ulfat batāne se kyā fā.eda
‘ishq-e-ḳhud.dār ye mashvara hai mirā husn se guftugū muḳhtasar chāhiye
rāh-e-ulfat meñ rakkhā hai pahlā qadam aur zid hai ki pūchheñge hālāt-e-ġham
kījiye jān-e-'ishrat' na qāsir hameñ rāz-dāñ 'ishq kā mo'tabar chāhiye
talib-e-did ko manzil-e-'ishq mein kaun kahta hai ye rahbar chahiye
un ka jalwa har ek shai mein maujud hai mo'tabar apna zauq-e-nazar chahiye
hum asiron ka sayyaad arman ye hai bas nazar bhar ke phir aashiyan dekh len
go ye sach hai ki parwaz ke waste kuchh na kuchh quwwat-e-baal-o-par chahiye
saKHtiyan kaisi aur kaisi nakaamiyan manzil-e-'ishq mein kaisi dushwariyan
kaamyabi qadam-bos hone lage 'azm-e-mohkam mein itna asar chahiye
ai nasim-e-sahar aisa dhoka na de aamad-e-fasl-e-gul ka sahaara na de
rut na badle ki badle hamein kya gharaz hum ko aane ki un ke KHabar chahiye
main jagah ki parastish to karta nahin ek tasawwur ke aage jhukata hun sar
naseha mujh ko samjhana bekar hai aur honge jinhen sang-e-dar chahiye
dastanen sunane se kya faeda raaz-e-ulfat batane se kya faeda
‘ishq-e-KHuddar ye mashwara hai mera husn se guftugu muKHtasar chahiye
rah-e-ulfat mein rakkha hai pahla qadam aur zid hai ki puchhenge haalat-e-gham
kijiye jaan-e-'ishrat' na qasir hamein raaz-dan 'ishq ka mo'tabar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.