talluq ke bahaw ka muqaddam istiara kis jagah hai
ta.alluq ke bahāv kā muqaddam isti.āra kis jagah hai
mire gahre samundar terī vahshat kā kināra kis jagah hai
batā ai roz-o-shab kī be-sabātī meñ tavāzun rakhne vaale
jise kal TūTnā hai aaj vo raushan sitāra kis jagah hai
batā sarsabz khetoñ se guzarne vaale be-āvāz dariyā
achānak pech khā kar ruḳh badalne kā ishāra kis jagah hai
bashārat jis ke hone kī mujhe pahle qadam par dī ga.ī thī
vo gahre abr kā saaya masāfat kā sahārā kis jagah hai
safar karnā hai aur andhā musāfir sochtā hai kis se pūchhe
sar-e-hastī añdhere rāstoñ kā goshvāra kis jagah hai
na sat.h-e-āb par hai aur na tah meñ is ke haiñ āsār koī
batā ai bahr-e-ġham kāġhaz kī kashtī ko utārā kis jagah hai
talluq ke bahaw ka muqaddam istiara kis jagah hai
mere gahre samundar teri wahshat ka kinara kis jagah hai
bata ai roz-o-shab ki be-sabaati mein tawazun rakhne wale
jise kal TuTna hai aaj wo raushan sitara kis jagah hai
bata sarsabz kheton se guzarne wale be-awaz dariya
achanak pech kha kar ruKH badalne ka ishaara kis jagah hai
bashaarat jis ke hone ki mujhe pahle qadam par di gai thi
wo gahre abr ka saya masafat ka sahaara kis jagah hai
safar karna hai aur andha musafir sochta hai kis se puchhe
sar-e-hasti andhere raston ka goshwara kis jagah hai
na sath-e-ab par hai aur na tah mein is ke hain aasar koi
bata ai bahr-e-gham kaghaz ki kashti ko utara kis jagah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.