talluq ki kaDi TuTi nahin hai
ta.alluq kī kaḌī TuuTī nahīñ hai
umīd-e-zindagī TuuTī nahīñ hai
faqat milnā-milānā kam huā hai
hamārī dostī TuuTī nahīñ hai
baḌī āñdhī chalī hai is chaman meñ
magar koī kalī TuuTī nahīñ hai
kamandeñ pheñkiye aql o ḳhirad kī
fasīl-e-āgahī TuuTī nahīñ hai
purāne baañs ke pul kī hamāre
koī bhī aas abhī TuuTī nahīñ hai
sunā hai bāvajūd-e-zor ham ne
dhanak rāvan se bhī TuuTī nahīñ hai
talluq ki kaDi TuTi nahin hai
umid-e-zindagi TuTi nahin hai
faqat milna-milana kam hua hai
hamari dosti TuTi nahin hai
baDi aandhi chali hai is chaman mein
magar koi kali TuTi nahin hai
kamanden phenkiye aql o KHirad ki
fasil-e-agahi TuTi nahin hai
purane bans ke pul ki hamare
koi bhi aas abhi TuTi nahin hai
suna hai bawajud-e-zor hum ne
dhanak rawan se bhi TuTi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.