talluq muddaton ka tark us se ho to kyunkar ho
ta.alluq muddatoñ kā tark us se ho to kyūñkar ho
ḳhudā ke vāste nāseh na itnā tū mire sar ho
mire rone pe kyoñ bedād itnī ai sitamgar ho
nikal aate haiñ aañsū aañkh se jab sadma dil par ho
parī-ruḳhsār bhī ho aur hūroñ se bhī behtar ho
vafā hī jab nahīñ tum meñ to dushman ke barābar ho
adū furqat meñ taḌpe aur vo mehmāñ mire ghar ho
kabhī to daur aisā bhī sipihr-e-kīna-parvar ho
kabhī dushman kī hasrat hai kabhī merī kudūrat hai
jagah merī vafā kī phir tumhāre dil meñ kyūñkar ho
talluq muddaton ka tark us se ho to kyunkar ho
KHuda ke waste naseh na itna tu mere sar ho
mere rone pe kyon bedad itni ai sitamgar ho
nikal aate hain aansu aankh se jab sadma dil par ho
pari-ruKHsar bhi ho aur huron se bhi behtar ho
wafa hi jab nahin tum mein to dushman ke barabar ho
adu furqat mein taDpe aur wo mehman mere ghar ho
kabhi to daur aisa bhi sipihr-e-kina-parwar ho
kabhi dushman ki hasrat hai kabhi meri kudurat hai
jagah meri wafa ki phir tumhaare dil mein kyunkar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.