talluq toD kar uski gali se
ta.alluq toḌ kar us kī galī se
kabhī maiñ juḌ na paaya zindagī se
ḳhudā kā aadmī ko Dar kahāñ ab
vo ghabrātā hai keval aadmī se
mirī ye tishnagī shāyad bujhegī
kisī merī hī jaisī tishnagī se
bahut chubhtā hai ye merī anā ko
tumhārā baat karnā har kisī se
ḳhasāre ko ḳhasāre se bharūñgā
nikālūñgā ujālā tīrgī se
tumheñ ai dosto maiñ jāntā huuñ
sukūñ miltā hai merī bekalī se
havāoñ meñ kahāñ ye dam thā 'faisal'
diyā merā bujhā hai buzdilī se
talluq toD kar us ki gali se
kabhi main juD na paya zindagi se
KHuda ka aadmi ko Dar kahan ab
wo ghabraata hai kewal aadmi se
meri ye tishnagi shayad bujhegi
kisi meri hi jaisi tishnagi se
bahut chubhta hai ye meri ana ko
tumhaara baat karna har kisi se
KHasare ko KHasare se bharunga
nikalunga ujala tirgi se
tumhein ai dosto main jaanta hun
sukun milta hai meri bekali se
hawaon mein kahan ye dam tha 'faisal'
diya mera bujha hai buzdili se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.