talluq TuTne ka gham uThana bhi zaruri tha
ta.alluq TūTne kā ġham uThānā bhī zarūrī thā
zarūrī tum bhī the lekin zamāna bhī zarūrī thā
terī āñkhoñ kī bechainī mirī zanjīr thī lekin
khaḌī thī rail-gāḌī aur jaanā bhī zarūrī thā
mohabbat kā badal kuchh bhī agar hai to mohabbat hai
ga.e the jis tarah vaise hī aanā bhī zarūrī thā
agar maiñ farz thā to phir nibhāyā kyoñ nahīñ tum ne
agar maiñ qarz thā to phir chukānā bhī zarūrī thā
maiñ kab tak raaz rakhtā dil meñ apnī bevafā.ī kā
ye baat aa kar tumheñ ik din batānā bhī zarūrī thā
fazā meñ is tarah uḌtā rahegā mustaqil kab tak
parinde ke liye ik āshiyānā bhī zarūrī thā
talluq TuTne ka gham uThana bhi zaruri tha
zaruri tum bhi the lekin zamana bhi zaruri tha
teri aankhon ki bechaini meri zanjir thi lekin
khaDi thi rail-gaDi aur jaana bhi zaruri tha
mohabbat ka badal kuchh bhi agar hai to mohabbat hai
gae the jis tarah waise hi aana bhi zaruri tha
agar main farz tha to phir nibhaya kyon nahin tum ne
agar main qarz tha to phir chukana bhi zaruri tha
main kab tak raaz rakhta dil mein apni bewafai ka
ye baat aa kar tumhein ek din batana bhi zaruri tha
faza mein is tarah uDta rahega mustaqil kab tak
parinde ke liye ek aashiyana bhi zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.