talluqat chaTaKHte hain TuT jate hain
ta.alluqāt chaTaḳhte haiñ TuuT jaate haiñ
jab ham ḳhulūs-o-mohabbat ko āzmāte haiñ
ḳhushī kā ek nayā zāviya ubhartā hai
ham apne bachchoñ se jis vaqt haar jaate haiñ
shaġhaf hai ḳhuub rivāyāt-e-raftagāñ se magar
ham ahd-e-nau ke tarāne bhī gungunāte haiñ
udaas shab bhī amāvas kī muskurātī hai
jo qumqume se nigāhoñ meñ jagmagāte haiñ
hamāre biich jo dīvār uTh rahī hai 'shifā'
chalo ki mil ke use aaj ham girāte haiñ
talluqat chaTaKHte hain TuT jate hain
jab hum KHulus-o-mohabbat ko aazmate hain
KHushi ka ek naya zawiya ubharta hai
hum apne bachchon se jis waqt haar jate hain
shaghaf hai KHub riwayat-e-raftagan se magar
hum ahd-e-nau ke tarane bhi gungunate hain
udas shab bhi amawas ki muskuraati hai
jo qumqume se nigahon mein jagmagate hain
hamare bich jo diwar uTh rahi hai 'shifa'
chalo ki mil ke use aaj hum giraate hain
- Book : Khat-e-abyaz (Pg. 63)
- Author : Shifa Kajganvi
- Publication : Shivna Prakashan (M.P.)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.