talluqat-e-musalsal bhi taziyane the
ta.alluqāt-e-musalsal bhī tāziyāne the
vo dhāge TuuT ga.e jo bahut purāne the
tire milan se tirā intizār behtar thā
bane na jism jo saa.e vahī suhāne the
sinā.eñ lafzoñ kī sab sat.h-e-sang par TūTīñ
tumheñ ye vaar to phūloñ pe āzmāne the
hamāre baa'd bhī raunaq na aa.ī us ghar par
charāġh ek havā ko ka.ī bujhāne the
bachā na koī musāfir bhī darmiyān-e-safar
na jaane kaun se tīroñ ke sab nishāne the
ye bām-o-dar pe jo chamkī thī dhuup sī ai 'aah'
mirī talāsh meñ guzre hue zamāne the
talluqat-e-musalsal bhi taziyane the
wo dhage TuT gae jo bahut purane the
tere milan se tera intizar behtar tha
bane na jism jo sae wahi suhane the
sinaen lafzon ki sab sath-e-sang par TuTin
tumhein ye war to phulon pe aazmane the
hamare ba'd bhi raunaq na aai us ghar par
charagh ek hawa ko kai bujhane the
bacha na koi musafir bhi darmiyan-e-safar
na jaane kaun se tiron ke sab nishane the
ye baam-o-dar pe jo chamki thi dhup si ai 'ah'
meri talash mein guzre hue zamane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.